Daily Calendar Hadiths - 25 January
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Achchhe akhlaaq (good character) khataaon ko is tarah pighla dete hain, jis tarah paani barf ko pighla deta hai”.* (Book of Tabrani Kabeer: Hadees No. 10626) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Allah Ta’ala apni ne’maton ka asar apne bandon par dekhna pasand karte hain”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 2819) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne bura kiya to yaqeenan tum ne bura kiya”.* (Book of Maujame Ausaat: Hadees No. 2982) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: : *“Itraana (akadna) bahot buri aadat hai”....