Daily Calendar Hadiths - 22 January

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne ghar waalon par kharch karna bhi sawaab ka kaam hai”.* (Book of Bukhari: Hadees No. 4006-Mafhoom)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Khaane ki sab se buri cheez yateem ka maal hai”.* (Book of Kanzul Ummaal: Hadees No. 43587)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do)”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 2822)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:: *"Hum ne insaan ko apne maa baap ke saath achchha bartaao karne ka takeedi hukum diya hai”.* (Quran: Chapter/Surah Ahqaf: Verse/Ayat no. 15)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *"Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohnchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayenge”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 262)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi