Daily Calendar Hadiths - 23 December 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki karte raho, Allah Ta'ala neki karne waalon ko pasand karta hai”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqara: Verse/Ayat no. 195] https://youtu.be/iFCXJhjizHE •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajah se ek meel door chala jaata hai”.* [Book of Tirmizi, 1972] https://youtu.be/_J3lIX1Q8Ws •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Tum log (maal-o-daulat aur dunyawi raahat-o-aaraam mein) apne se oopar waalon ko na dekho (is se laalach aur hasad paida hoga) aur tum log hamesha apne se neeche ke logon ko dekho (is se shukr ada karne ka jazba paida hoga).”.* [Book of Musnade Ahmad, 21415] https://youtu.be/ynsE2gcnIWs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasal...