Bukhl (kanjusi) karne walo per Azaab
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Quran-o-Hadith: *" Bukhl (kanjusi) karne walo per Azaab. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al-Quran (Roman Urdu): *" Aur jo log us cheez par bukhl (kanjusi) karte hain jo Allah ne unko apne fazal se di hai woh ye khayaal na karein ke bukhl unke haq mein behtar hai. Bulki ye to unke haq mein bura hai. Qayamat ke din woh maal tauq bana kar unke galoon mein dala jayega jismein woh bukhl (kanjusi) karte thay. Allah hi aasmano aur zameeno ka waaris hai. Aur jo kuch tum karte ho Allah usey jaanta hai ".* [Al-Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Ayat 180] ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Koi din aisa nahin jaata ki jab bande subah ko uthtey hain to do (2) Farishte aasman se naa utarte hoon, (yani har roz do Farishtey subah ko aasman se utartey hain) aur unmein se ek Farishta yeh kehta hai ki ‘Eh Allah, kharch karne...