Rasool-Allah, Muhammad ﷺ ke naam se jhoot bolne wala Jahannum me jaaega
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke naam se jhoot bolne wala Jahannum me jaaega.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Salama (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs mere naam se woh baat bayaan karey jo main ney nahi kahi (ya boli), to woh apna thikaana Jahannam mein bana le”. * [Sahih Bukhari, Jild 1, 109] ❷ Hazrat Ali (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Mujh par jhoot na bolo, kyunki jo mujh par jhoot bolega wo Jahannam mein daakhil hoga”. * [Sahih Bukhari, Jild 1, 107] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ हज़रत सलामा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “जो शख़्स मेरे नाम से वो बात बयान करे जो मैने नही कही (या बोली), तो वो अपना ठिकाना जहन्नम में ब...