Jo Jumay (ki namaz) ke liye aaye woh pehle Ghusl kar liya kare
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *" Jo Jumay (ki namaz) ke liye aaye woh pehle Ghusl kar liya kare ”.* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Saalim ne un se un ke waalid (Ibne Umar radi allahu anhuma) ne farmaya ke main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se suna. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Mimbar par Khutbah dete huye farmaya - *" Jo Jumay (ki namaz) ke liye aaye woh pehle Ghusal kar liya kare ".* [Sahih Bukhari, Jild 2, 919] ❷ Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Ye din (Jumaa), Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ataa farmaya hai. Isliye jo Jumay ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaaye to laga le. Aur tum par miswak bhi hai ”.* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1098-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ हज़रत सालिम ने, उन से उन के वालिद (इब्ने उमर रदी अल्लाहु अन्हुमा) ने फ़रमाय...