Posts

Showing posts with the label Hafiz

Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne Rab se arz karega, Ya Allah is se raazi ho ja to Allah Subhanahu us se raazi ho jayega

Image
 Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne Rab se arz karega, Ya Allah is se raazi ho ja to Allah Subhanahu us se raazi ho jayega .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Qayamat ke din sahib-e-quran aayega to Quran apne Rab se arz karega: Ya Allah, isko zeenat ata farma (ya isko sanwar de). Phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega. Phir wo (Quran) arz karega: Ya Allah, isko aur zyaada zeenat ata farma (aur zyada sanwar de). Phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega. Phir wo (Quran) arz karega: Ya Allah, is se raazi ho ja. To Allah Subhanahu us (sahib-e-quran) se raazi ho jaayega. Phir us se kaha jayega ki: Padhta ja aur (darjat par) chadhta ja, aur har aayat ke badle uski neikiya zyaada ki jayegi ".* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू...

Allah Subhanahu ki taazeem ka hissa ye bhi hai ki inn 3 tarha ki logo ki Ezzat ki jaye

Image
 Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: “ Allah Subhanahu ki taazeem ka hissa ye bhi hai ki inn 3 tarha ki logo ki Ezzat ki jaye .” •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Moosa Al Ashaari (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Allah Subhanahu ki taazeem ka hissa ye bhi hai ki (1) Safed baalo wale musaman (yani Buzurg) ki ezzat ki jaye, aur (2) Quran karim ke hamil yani Hafiz aur Aalim ki bhi ezzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kamee karne walo ke, aur (3) Aadil baadshah ki bhi ezzat ki jaye ”.* [Sunan Abu Dawood, Jild 3,1415-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू मूसा अल-अशरी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “अल्लाह सुबहानहु की ताज़ीम का हिस्सा ये भी है की (1) सफेद बालों वाले मुसलमान (यानी बुज़ुर्ग) की इज्ज़त की जाए और (2) क़ुरान करीम के हामिल यानी हाफ़िज़ और आलिम की भी इज्ज़त की जाए सिवाए उसमें गुल...