Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par saabit qadam aur dushman par ghalib rahega.
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske qareeb ka giroh Qayamat tak deen par saabit qadam aur dushman par ghalib rahega." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Meri ummat ka ek giroh Qayamat tak deen par saabit qadam aur dushman par ghalib rahega aur unse ikhtelaf karne wale unka kuch na bigaad sakenge, siwaye uske ke unhein kuch maashi tangdasti (Rizq aur maal ki kami) ka saamna karna padhe aur wo usee haalat par honge yaha tak ke Allah Subhanahu ka hukm aa jayega". * Sahaba (radi Allahu anhuma) ne poocha - * "Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), wo kahan honge?" * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Wo Bait ul Muqaddas (Masjid e Aqsa) aur uske aas-paas honge". * [Musnad Ahmed, 12494] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैह...