Posts

Showing posts with the label Parents

Maa baap se achcha suluq karna

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhooom-Al-Quran: *“ Maa baap se achcha suluq karna. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Hamne insaan ko apne Maa baap ke saath achcha suluq karne ka hukm diya hai ”.* [Al Quran, Surah Al-Ankabut (29), Aayat 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरआन: *“ हमने इंसान को अपने माँ बाप के साथ अच्छा सुलूक़ करने का हुक्म दिया है । "* [अल क़ुरआन, सूरह अल-अनकबूत (29), आयत 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhooom-Al-Quran: * “Being good to your parents.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ We have enjoined upon man goodness to his parents” .* [Al Quran, Surah Al-Ankabut (29), Verse 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• القرآن: *" ہم نے انسان کو اپنے ماں باپ کے ساتھ اچھا سلوک کرنے کا حکم دیا ہے۔" * _القرآن، سورة العنكبوت 29، آیت 8_ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/09/maa-baap-se-achcha-suluq-karna.html https://only-quran-hadith.blogspot.com/2022/09/al-quran-hamne-insan-ko-apne-maa-baap.html * WhatsApp ...

Apne hi waaldein par laanat bhejne wala shakhs

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Apne hi waaldein par laanat bhejne wala shakhs.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdulllah bin Amr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaaya - * “Yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waaldein par laanat bhejey". * Logo ne poocha - * "Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), koi shakhs apney hi waaldein par laanat kaisey bhejega?"* To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *"Jab koi shakhs dusro ke waalid ko bura kahega to dusra bhi uske waalid aur maa ko bura kahega” (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega). * [Sahih Bukhari, Jild 7, 5973] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्ल्लह बिन अमर (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया  - * "यक़ीनन कबीरा गुनाहों में से ये भी है की कोई अपने वालद...

Maa-Baap ki khidmat ki fazeelat / ehmiyat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Maa-Baap ki khidmat ki fazeelat / ehmiyat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abdullah bin Amr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki ek shakhs Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir hau aur jihad mein jaane ki ejazat maangi. To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne poocha - *“ Kya tumhare Maa-Baap zinda hain? "* To usne kaha - *“ Ji haan ".* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Phir tum unki khidmat karo ”.* [Sahih Bukhari, Jild 4, 3004] ❷ Hazrat Muaawiyah bin Jahimah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Hazrat Jahimah (radi Allahu anhu) Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke paas aaye aur arz kiya - *“ Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), main ne Jihad mein shaamil hone ka iraada kar liya hai aur iske liye main aapka mashwara chaahta hoon” .* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alai...

Maa Baap ke liye Qurani dua

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Dua: * Maa Baap ke liye Qurani dua .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْ حِسَابُ * _القرآن، سورة ابراهيم، ١٤ ،٤١_ --- * رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا * _سورة الإسراء، ١٧ ،٢٤_ --- * Rabbanagfirlee waliwaalidayya wa lil mu'mineena yauma yaqumul hisaab .* _Aameen_  (Al Quran, Surah Ibrahim (14), Verse/Ayat-41) --- * Rabbir hamhuma kama rabbayaanee sageera .* _Aameen_  (Al Quran, Surah Al-Isra (17), Verse/Ayat-24) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * Eh hamare Rabb, mujhko aur mere waldein (maa baap) ko, aur momeeno ko hisaab waale din bakhsh dena .* _Aameen_ (Al Quran, Surah Ibrahim (14), Ayat 41) --- * Eh mere Rabb, jis tarah unhone (mere maa baap ne) mujhe bachpan me paala hai usi tarah Tu bhi un par rehem farma .* _Aameen_ (Al Quran, Surah Al-Isra (17), Ayat-24) --- * एह हमारे रब, मुझको और मेरे वालदेन को (माँ बाप को), और मोमीनों को हिसाब वाले दिन बख्श दे...

Apne Maa-Baap ko uff bhi na kaho...

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-ul-Quran-o-Hadith: *“ Apne Maa-Baap ko uff bhi na kaho... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Aur tumharey RAB ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo. Aur Maa-Baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho. Aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey uff bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo. Aur unkey samney shafqat se aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki _Eh Mere Rab jaisey unhoney (mere maa-baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah Tu bhi un par raham farma’_ .”* [Al Quran, Surah Al-Isra (17), Ayat 23-24] ►Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abu Abdur-Rahman As-Sulami rivayat kartey hain Hazrat Abu Darda (radi Allahu anhu) se ki unhoney kaha Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Waalid (father) Jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh ”.* [Jami At-Tirmiz...