Apney gharon ko Qabrein na banao aur meri Qabr ko mela (Eidgah) na bana lena.
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *" Apney gharon ko Qabrein na banao aur meri Qabr ko mela (Eidgah) na bana lena. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Apney gharon ko Qabrein na banao aur meri Qabr ko mela (Eidgah) na bana lena, aur mujh par Durood bheja karo kyunki tum jaha bhi rahoge tumhara Durud mujh tak pahucha diya jaayega ".* [Sunan Abu Dawood, Jild 2, 274] ❷ Hazrat Ayesha aur Hazrat Abdullah ibn Abbas (radi Allahu anhuma) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Yahud aur Nasara par Allah ki laanat ho kyunki unhone apne Nabiyon ki Qabron ko ibadat ki jagah bana liya tha ".* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) is bure amal se (Musalmano ko) dara rahe thay. [Sahih Bukhari, Jild 7, 5815] ❸ Hazrat Ibn Umar (radi Allahu anhu) se rivayat hai ...