Posts

Showing posts with the label Hajj

Baar baar Hajj aur Umrah karna gareebi aur gunahon ko khatam kar deta hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Baar baar Hajj aur Umrah karna gareebi aur gunahon ko khatam kar deta hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Umar (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Baar baar Hajj aur Umrah kiya karo kyunki  baar baar Hajj aur Umrah karna Gareebi (Muflisi) aur Gunaahon ko aisey khatam kar deta hai jaisey bhatti lohey ke mail ko khatam kar deti hai" .* [Sunan Ibn Majah, Vol 2, 1044-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत उमर  (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम)  ने फरमाया - * "बार बार हज और उमरा किया करो क्यूंकि बार बार हज और उमरा करना गरीबी और गुनाहों को ऐसे खत्म कर देता  है जैसे भट्टी लोहे के मैल को खत्म कर देती है l ”* [सुनन इब्न माजा, जिल्द 2, 1044] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Perform Hajj and Umrah one after the another for performing them one after the...

Hadith: Allah Subhanahu ke mehmaan

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Allah Subhanahu ke mehmaan. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ✦ Hazrat Ibn Umar (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Allah ki raah mein Jihad karne wala, Hajj karne wala aur Umrah karne wala Allah subhanahu ke mehmaan hain. Allah subhanhu ne unko bulaya to wo haazir huye aur unhone Allah subhanahu se maanga, to Usne inko ataa kiya” .* [Sunan Ibn Majah, Jild 2, 1050-Hasan] ✦ Hazrat Salman Farsi (radi Allahu anhu) rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jis shakhs ne wuzu kiya aur Masjid mein aaya, wo Allah Subhanahu se mulaqat karne aa raha hai aur mezbaan ka haq hai ke wo mehmaan ki takreem kare” .* [Al-Silsila As-Sahiha, 2418-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी):  ✦ हज़रत इब्न उमर (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने...

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki gareeb log Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir huye aur kaha - * "Ameer log buland darjat aur hamesha rahne wali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum namaz padhte hain wo bhi padhte hain, aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain, lekin maal wa daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat haasil hai ki uski wajah se wo Hajj karte hain, Umrah karte hain, Jihad karte hain aur Sadqa dete hain (aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paate)". * Is par Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Main tumhe ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karoge to jo log tumse aage badh chuke hain tum un tak pahunch jaaoge aur tum...