Namaz ke dauran oongh ya neend aaye to so jaye
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Namaz ke dauran oongh ya neend aaye to so jaye." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Aisha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab tum mein se kisi ko namaz ke dauran oongh ya neend aaye to woh so jaaye yaha tak ki uski neend poori ho jaaye kyunki agar woh unghte huye namaz padhega to shayad woh astigfar karne ki jagah khud ko baddua kar dega”. * [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 1297-Sahih] ❷ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab tum mein se koi raat mein (Namaz ke liye) khada ho aur Quran uski zuban par ladkhadane lage aur woh na samajh paye ki kya keh raha hai to usko so jana chahiye”. * [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 1298-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ हज़रत आयशा (रदी अल्लाहू अन्हा) से रिवायत है की से रि...