Cheenk aane par padhne ki dua
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *" Cheenk aane par humein kya kehna chaahiye? "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * ٱلْحَمْدُ لِلَّٰهِ * --- * يَرْحَمُكَ اللَّهُ * --- * يَهْدِيكُمُ اللَّهُ وَيُصْلِحُ بَالَكُمْ * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jab tum mein se koi cheenke (sneezing) to 'Al-Hamdulillah' (Allah ka shukr hai) kahe, aur uska bhai ya uska saathi 'YarhamukAllah' (Allah tum par reham karey) kahey. Jab saathi 'YarhamukAllah' kahe to uske jawab mein cheenkne wala kahe 'Yahdikumullah wa Yuslihu balakum' (Allah tumhe seedhe raaste par rakhe aur tumhare haalat durast karey) ".* [Sahih Bukhari, Jild 7, 6224] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *" जब तुम म...