Qayamat ki 6 Nishaniyan
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom: *“ Qayamat ki 6 Nishaniyan ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Aauf bin Malik (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Qayamat ki chey (6) nishaniyan shumaar kar lo :* 1. * Meri wafa'at* 2. *Phir Bait ul Muqadas ki fateh,* 3. *Phir ek waba (virus) jo tum mein shiddat se phelegi jaise bakriyon mein taoon phail jata hai,* 4. *Phir maal ki kasrat Iss tarah se hogi ke ek shakhs so (100) dinar bhi agar kisi ko dega to us par bhi wo naraz hoga,* 5. *Phir itna tabah kar dene wala fitnah hoga ke arab ka koi ghar baqi na rahega jo Iss ki lapet mein na aayega,* 6. *Phir sulah jo tumahare aur Bani Al-Asfar (Rome ke Eesayeeyo) ke darmiyan hogi, lekin wo dhokha denge aur ek azeem lashkar ke saath tum par chadahyee karenge, usmein 80 jhande honge aur har jhande ke sath 12,000 ki fauj hogi (yani 9 lakh 60 hazar ka lashkar hoga". * [Sahih B...