Badan ke aafiyat (salamati) ki dua
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *” Badan ke aafiyat (salamati) ki dua .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdur rahman bin Abu bakr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki - *" Unhone apne waalid se pucha ki, 'Abbu jaan, main aapko har subah aur shaam ko teen martaba ye dua padhte huae sunta hun'. To unhone kaha ki, 'Maine Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko yahi dua isee tarah padhte huae suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahun ".* --- * اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ * --- * Allahumma aafini fi badani, Allahumma aafini fi samaee, Allahumma aafini fi basari, La ilaha illa anta .* --- * Ya Allah, Tu mere badan mein aafiyat ata farma. Ya Allah, Tu mere kaano mein aafiyat ata farma. Ya Allah, Tu meri nigahon mein aafiyat ata farma. Tere siwa koi maabud nahi .* [Sunan Abu Daw...