Kousar, nehar ke baare mein…
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Kousar, nehar ke baare mein…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Anas bin Malik (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se poocha gaya - * “’Kausar’ kya hai?” * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Yeh ek nehar hai, jo Allah Subhanahu ne mujhe ata ki hai, doodh se zyada safaid hai aur Shahad se zyada meethi hai. Usmein aise parinde hain jinki gardanein Oonton ki gardano ki tarah hongi”. * Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne farmaya - * “Yeh to bahut umdah honge”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Unka khaana bahut lazeez hoga”. * [Al Silsila tus Sahiha, 1484] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अनस बिन मालिक (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने से पुछा गया - * “’कौसर’ क्या है?” * आप, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फ़रमाया - * “...