Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne Rab se arz karega, Ya Allah is se raazi ho ja to Allah Subhanahu us se raazi ho jayega
Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne Rab se arz karega, Ya Allah is se raazi ho ja to Allah Subhanahu us se raazi ho jayega .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Qayamat ke din sahib-e-quran aayega to Quran apne Rab se arz karega: Ya Allah, isko zeenat ata farma (ya isko sanwar de). Phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega. Phir wo (Quran) arz karega: Ya Allah, isko aur zyaada zeenat ata farma (aur zyada sanwar de). Phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega. Phir wo (Quran) arz karega: Ya Allah, is se raazi ho ja. To Allah Subhanahu us (sahib-e-quran) se raazi ho jaayega. Phir us se kaha jayega ki: Padhta ja aur (darjat par) chadhta ja, aur har aayat ke badle uski neikiya zyaada ki jayegi ".* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू...