Posts

Showing posts with the label Rajab

Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom: * “Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo (yani gunah na karo)." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah (12) mahine hai, Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char (4) hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijjah, Muharram aur Rajab). Yahi seedha deen hai isliye inmein (in mahino mein) apne upar zulm na karo (yani gunah ke kaam na karo)”. * [Al Quran, Surah At-Tauba (9), Ayat 36] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Bakra (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Saal barah mahine ka hota hai, unmein chaar hurmat ke mahine hain, teen to ek ke baad ek 'Dhul Qaida', 'Dhul Hijjah' aur 'Muharram' aur ek 'Rajab' jo 'Jamadil Aakhir' aur 'Shabaan' ke darmiyan hota hai”. * [Sahih Bukhari, Jild 6, 5550] •┈...

Rajab ke mahine ke roze.

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *" Rajab ke mahine ke roze. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ✦ Hazrat Uthman bin Hakim Al-Ansari (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki unhone Hazrat Saeed Bin Jubayr / Jubair (radi Allahu anhu) se Rajab ke rozo ke baare mein pucha aur yeh sawal Rajab ke mahine mein hi kiya to unhone kaha ki maine Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se suna - *" Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) (lagatar) roze rakhte thay aur itne rakhte thay ki hum samajhte thay ki ab iftaar nahi karenge aur iftaar karte thay yaha tak ki hum samajhte ab roze nahi rakhenge ".* [Sahih Muslim, Jild 3, 2726] ✦ Hazrat Abu Zarr (radi Allahu anhu) se rivayat hai - *" Mere habeeb, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne mujhe teen baato ki waseeyat farmayee jo main In-sha-Allah kabhi nahi chorhunga. Pehla Chasht (Duha) ki namaz padhne ki, dusra sone se pahle witr ki namaz ada kar lene ki aur teesra har m...