Posts

Showing posts with the label Haraam (Forbidden)

Nikah-e-Mutah (temporary marriage) qayamat tak haraam hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Nikah-e-Mutah (muqarar waqt ke liye kiya gaya nikah) aur Gadhe ka gosht khana haraam hai.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Rabi bin Sabra al-Juhanni (radi Allahu anhu) apne walid se rivayat hai ki - * "Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Mutah (muqarar waqt ke liye kiya gaya nikah) karne se mana farmaya aur ye bhi farmaya ki aagah ho jao Mutah aaj ke din se Qayamat ke din tak haram hai aur jisne Muta ke mahar mein kuch diya ho woh wapas na le". * [Sahih Muslim, Jild 4, 3430] ❷ Hazrat Ali (radi Allahu anhu) ne suna ki Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) aurton se Mutah mein kuch dheel de rahe hain to unhone kaha - * "Thahar jao Eh Hazrat Ibn Abbas, Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Khaibar wale din se hamesha le liye Mutah (muqarar waqt ke liye kiya gaya nikah) karne aur paltu gadho ke gosht khaane se mana farma diya hai"...