Posts

Showing posts with the label Baap

Maa baap se achcha suluq karna

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhooom-Al-Quran: *“ Maa baap se achcha suluq karna. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Hamne insaan ko apne Maa baap ke saath achcha suluq karne ka hukm diya hai ”.* [Al Quran, Surah Al-Ankabut (29), Aayat 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरआन: *“ हमने इंसान को अपने माँ बाप के साथ अच्छा सुलूक़ करने का हुक्म दिया है । "* [अल क़ुरआन, सूरह अल-अनकबूत (29), आयत 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhooom-Al-Quran: * “Being good to your parents.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ We have enjoined upon man goodness to his parents” .* [Al Quran, Surah Al-Ankabut (29), Verse 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• القرآن: *" ہم نے انسان کو اپنے ماں باپ کے ساتھ اچھا سلوک کرنے کا حکم دیا ہے۔" * _القرآن، سورة العنكبوت 29، آیت 8_ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/09/maa-baap-se-achcha-suluq-karna.html https://only-quran-hadith.blogspot.com/2022/09/al-quran-hamne-insan-ko-apne-maa-baap.html * WhatsApp ...

Maa-Baap ki khidmat ki fazeelat / ehmiyat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Maa-Baap ki khidmat ki fazeelat / ehmiyat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abdullah bin Amr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki ek shakhs Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir hau aur jihad mein jaane ki ejazat maangi. To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne poocha - *“ Kya tumhare Maa-Baap zinda hain? "* To usne kaha - *“ Ji haan ".* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Phir tum unki khidmat karo ”.* [Sahih Bukhari, Jild 4, 3004] ❷ Hazrat Muaawiyah bin Jahimah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Hazrat Jahimah (radi Allahu anhu) Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke paas aaye aur arz kiya - *“ Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), main ne Jihad mein shaamil hone ka iraada kar liya hai aur iske liye main aapka mashwara chaahta hoon” .* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alai...

Muhammad (ﷺ) ne inn (teen) 3 baaton par Aameen kaha.

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * “Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ) ne inn (teen) 3 baaton par Aameen kaha.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ek din Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne mimbar laane ka hukum diya. Jab Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne pehli seedi par qadam rakha to farmaya ‘Aameen’! Phir dusri seedi par qadam rakha to farmaya ‘Aameen’! Phir teesri seedi par qadam rakha to farmaya ‘Aameen’!. Khutbe se faarig hone ke baad jab Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) mimbar se neeche tashrif laaye to Sahaba (radi Allahu anhuma) ne arz kiya  - * “Aaj Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se aisi baat suni jo us se pehle nahin suni thi.” * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Hazrat Jibril (Alaihis Salam) tashrif laye aur kaha ‘Jis ne Ramzan Ka pura mahina paya aur wo (ibadat aur tauba ke zariye) apn...

Apne Maa-Baap ko uff bhi na kaho...

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-ul-Quran-o-Hadith: *“ Apne Maa-Baap ko uff bhi na kaho... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Aur tumharey RAB ne farmaya hai ki uskey siwa kisi ki ibadat na karo. Aur Maa-Baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho. Aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey uff bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo. Aur unkey samney shafqat se aajazi ke saath jhukey raho aur kaho ki _Eh Mere Rab jaisey unhoney (mere maa-baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah Tu bhi un par raham farma’_ .”* [Al Quran, Surah Al-Isra (17), Ayat 23-24] ►Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abu Abdur-Rahman As-Sulami rivayat kartey hain Hazrat Abu Darda (radi Allahu anhu) se ki unhoney kaha Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Waalid (father) Jannat ka darmiyana (beech ka) darwaza hai, isliye teri marzi usey zaya kar ya mehfooz rakh ”.* [Jami At-Tirmiz...