Posts

Showing posts with the label Muharram

Hussain (radi Allahu anhu) se mohabbat

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Allah us se mohabbat rakhe jo Hussain (radi Allahu anhu) se mohabbat rakhe…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman-Urdu): Hazrat Saeed Bin Abu Rashid (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Hazrat Yala Bin Murrah (radi Allahu anhu) ne kaha ki ek baar woh log Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke saath khaane ki ek dawat ke liye nikle. Hazrat Hussain (radi Allahu anhu) gali mein khel rahey thay. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) logon se aagey badhey aur apney haath phaila diye aur Hazrat Hussain (radi Allahu anhu) idhar-udhar bhagne lage. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) unhe hasaate rahe yahan tak ki unko pakad liya. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne ek haath Hazrat Hussain (radi Allahu anhu) ki thodi (chin) ke neeche aur dusra haath sar ke upar rakha aur bosa (kiss) liya phir farmaya - * “Hussain (radi Allahu anhu) mujh se hain aur main Hussain (radi Allahu anhu) s...

Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki Hasan se Muhabbat

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “ Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki  Hazrat Hasan (radi Allahu anhu) se Muhabbat.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman-Urdu): Hazrat Al-Baraa (radi Allahu anhu) se rivayat hai ke Main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko dekha ki Hazrat Hasan (radi Allahu anhu) Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke kaandhe mubarak par thay aur Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ye farma rahe thay - * “Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai Tu bhi in sey Muhabbat rakh”. * [Sahih Bukhari, Jild 5, 3749] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अल-बर्रा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की मैंने रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) को देखा की हज़रत हसन (रदी अल्लाहू अन्हु) आप, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) के कंधे मुबारक पर थे और आप, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) यह फरमा रहे थे - * "या अल्लाह, मुझे इन से मुहब्बत है तू भी इन से मुहब्बत रख l" * [सहीह बुख़ा...

Mahdi mere khandan mein se honge aur Fatima (radi Allahu anha) ki aulaad mein se honge

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Hadith: *" Mahdi mere khandan mein se honge aur Fatima (radi Allahu anha) ki aulaad mein se honge ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Abdullah bin Masood (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Agar duniya ke khatam hone mein ek din bhi baqi hoga to bhi Allah us din ko lamba kar dega aur ek shakhs jo mujhse ya mere ahl-e-bait mein se bhejega jiska naam mere naam se aur jiske waalid ke naam mere waalid ke naam se hoga, woh zameen ko adal aur insaaf se bhar dega jo ki zulm aur zor se bhari huae hogi ".* Aur Sufyan (radi Allahu anhu) ne kaha ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Duniya tab tak khatam nahi hogi jab tak ke Arab mulk ki hukumat mere ahl-e-bait mein se ek shakhs ke paas na aa jaye jiska naam mere naam ki tarah hoga ”.* [Sunan Abu Dawood, Vol 3, 878-Sahih] ✦ Hazrat Umm Salma (radi Alla...

Shan-e-Abu Bakr radi Allahu anhu

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Hadith: *" Shan-e-Abu Bakr radi Allahu anhu ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Abu Saeed (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Sab logon se ziyaada mujh par Abu Bakr (radi Allahu anhu) ka ehsaan hai, maal ka bhi aur saath dene ka bhi ”.* [Sahih Muslim, Jild 6, 6170] ✦ Hazrat Abdullah bin Salimah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki maine Hazrat Ali (radi Allahu anhu) ko farmate hue suna ki - *" Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke baad logon mein sabse behtar Abu Bakr (radi Allahu anhu) hain aur unke baad Umar (radi Allahu anhu) hain ”.* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 106-Sahih] ✦ Hazrat Anas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se arz kiya gaya ki- *" Logon mein sabse ziyaada pasandeeda aap ke nazdeek kaun hai? "* Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu al...

Jisne Hasan aur Hussain (radi Allahu anhuma) se muhabbat rakhi, usne mujhse muhabbbat rakhi

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jisne Hasan aur Hussain (radi Allahu anhuma) se muhabbat rakhi, usne mujhse muhabbbat rakhi ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jisne Hasan aur Hussain (radi Allahu anhuma) se muhabbat rakhi, usne mujhse muhabbbat rakhi aur jisne unse bugz rakha usne mujhse bugz rakha ”.* [Sunan Ibn Majah, Vol 1 , 143-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जिसने हसन और हूसेन (रदी अल्लाहू अन्हुमा) से मुहब्बत रखी, उसने मुझसे  मुहब्बत  रखी और जिसने उनसे बुग्ज़ (नफरत) रखा उसने मुझसे बुगज़ रखा l"* [सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 1, 143-हसन] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *" Whoever loves Hasan and Hussain (radi Allahu anhuma) loves me ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Engl...

Hazrat Hussain (radi Allahu anhu) ke Shahadat ki khabar pehle se de di gayi thi

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Hazrat Hussain (radi Allahu anhu) ke Shahadat ki khabar pehle se de di gayi thi. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Mere paas ghar mein ek Farishta aaya tha, jo us se pehle kabhi mere paas nahi aaya tha, aur usne bataya ke 'Aapke yeh bete Hussain (radi Allahu anhu) Qatl honge, agar Aap chahein to Aap ko us zameen ki mitti dikhaun jahan yeh Qatl honge', phir usne surkh mitti dikha di ".* [Al-Silsila As-Sahiha, 2677] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ मेरे पास घर में एक फ़रिश्ता आया था, जो उस से पहले कभी मेरे पास नहीं आया था, और उसने बतलाया की 'आपके ये बेटे हुसैन (रदी अल्लाहू अन्हु) क़त्ल होंगे, अगर आप चाहें तो आप को उस सरज़मीन की मिट्टी दिखाऊँ जहाँ ये क़त्ल होंगे', फिर उसने सुर्ख़ मिट्टी दिखाई । "* [अल-सिलसिला अस-सहिहा, 2677] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e...

Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom: * “Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo (yani gunah na karo)." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah (12) mahine hai, Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char (4) hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijjah, Muharram aur Rajab). Yahi seedha deen hai isliye inmein (in mahino mein) apne upar zulm na karo (yani gunah ke kaam na karo)”. * [Al Quran, Surah At-Tauba (9), Ayat 36] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Bakra (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Saal barah mahine ka hota hai, unmein chaar hurmat ke mahine hain, teen to ek ke baad ek 'Dhul Qaida', 'Dhul Hijjah' aur 'Muharram' aur ek 'Rajab' jo 'Jamadil Aakhir' aur 'Shabaan' ke darmiyan hota hai”. * [Sahih Bukhari, Jild 6, 5550] •┈...

Abu Bakr aur Umar (radi Allahu anhuma) Jannat mein tamam awwaleen aur aakhireen umar daraz logo ke sardar honge, siwaye Ambiya aur Rasoolo ke

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Abu Bakr aur Umar Jannat ke sardar honge, siwaye Ambiya aur Rasoolo ke ”.* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Awn bin Abi Juhaifah (radi Allahu anhu) apne waalid (radi Allahu anhu) se bayaan karte hain ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Abu Bakr aur Umar (radi Allahu anhuma) Jannat mein tamaam awwaleen aur aakhireen umar daraz logon ke sardar honge, siwaye Ambiya aur Rasoolo ke ”.* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 100-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत औन बिन अबी ज़ुहैफा (रदी अल्लाहू अन्हु) अपने वालिद (रदी अल्लाहू अन्हु) से बयान करते हैं की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ अबू बक्र और उमर (रदी अल्लाहू अन्हुमा) जन्नत में तमाम अव्वलीन और आखिरीन उमर दरज़ लोगों के सरदार होंगे, सिवाए अम्बिया और रसूलों के l"* [सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 100-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Abu Bakr and Umar are the leaders of paradise ...

Ashura ka roza guzre huye saal ke gunahon ka kaffara hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Ashura ka roza guzre huye saal ke gunahon ka kaffara hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Abu Qatada al-Ansari (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke baare mein pucha to Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Ye guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai ”.* [Sahih Muslim, Vol 3, 2747] ✦ Hazrat Abu Said al-Khudri (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jo ek din roza rakhe Allah ki raah mein, to Allah Subhanahu uske chehre ko 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai ”.* [Sahih Muslim, Vol 1, 2713] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ✦ हज़रत अबू क़तादा अल-अंसारी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) से आशुरा (10 मुहर्रम) के दिन के रोज़े के बारे म...

Fasting on 9th and 10th of Muharram.

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ 9 aur 10 Muharram ka Roza .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) jab Madina mein tashreef laye to Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Yahudiyo ko dekha ki wo Ashura ke din (10 Muharram) ka roza rakhte hain. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne unse iska sabab pucha to unhone kaha - *"Ye ek achcha din hai, iss din Allah Subhanahu ne Bani Israeel ko unke dushman (Firaun) se nijaat dilwayee thi, isliye Musa (Alaihis salam) ne us din ka roza rakha tha".* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *"Musa (Alaihis salam) par tumse zyada haq hamara hai".* Phir Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne bhi us din roza rakha aur Sahaba (radi Allahu anhuma) ko bhi iska hukm diya. [Sahih Bukhari, Book 31, 222] ❷ Hazrat Abdullah bin Abbas (radi Al...

Main tumhare beech do (2) bhaari cheezein chorh kar jaa raha hu ek to Quran aur dusra Ahl-e-bait

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Main tumhare beech do (2) bhaari cheezein chorh kar jaa raha hu, ek to Quran aur doosra Ahl-e-bait.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Yazid bin Hayyan se rivayat hai ki main aur Husain bin Sabra aur Umar bin Muslim, Hazrat Zaid bin Arqam (radi Allahu anhu) ke paas gaye to unhone farmaya ki ek din Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ  sallallahu alaihi wasallam) Khutbah sunaane ke liye khade huye aur farmaya - * ”Main tumhare beech do (2) bhaari cheezein chorh kar jaa raha hu. Ek to Allah ki Kitab hai jismein hidayat aur noor hai to Allah ki Kitab ko thaame raho aur isko mazbooti se pakde raho aur doosri cheez mere Ahl-e-bait hain. Main Allah ki yaad dilaata hu tumhe mere Ahl-e-bait ke mutaalliq”. * Teen martaba Aap, Muhammad (ﷺ  sallallahu alaihi wasallam) ne baat bayan farmayi. Hazrat Hussain bin Hayyan (radi Allahu anhu) ne kaha - * “Ahl-e-bait koun hain, Eh Zaid (radi Allahu anhu)? Kya Aap, Muhammad ...

Sab rozo main afzal Ramzan ke baad Muharram ke roze hain

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Sab rozo main afzal Ramzan ke baad Muharram (Allah ka mahina) ke roze hain. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Sab rozo main afzal Ramzan ke baad Muharram ke roze hain, jo 'Allah ka mahina' hai aur baad namaz Farz ke Tahajjud ki namaz hai ”.* [Sahih Muslim, Jild 3, 2755] ❷ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki ek sahib Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir hokar arz karney lage ki - *" Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat kaunse rozo ki hai?" * To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Allah ka mahina, jise tum Muharram kehte ho ”.* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1742-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ हज़रत अबू हुरैरह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की ररसूल-अल्लाह, ...