Posts

Showing posts with the label Punishment

Allah jise chahe bakhsh de aur jise chahe azaab kare

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom: * "Allah jise chahe bakhsh de aur jise chahe azaab kare." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Aur jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai sab Allah hi ka hai. Jise chahe bakhsh de aur jise chahe azaab kare. Aur Allah bakhshne wala meharbaan hai”. * [Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Ayat 129] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Jundab (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Ek shakhs bola ki Allah Subhanahu ki qasam, Allah falah ko nahi bakhshega. Allah Subhanahu ne farmaya: ‘Wo kaun hota hai jo Meri qasam khakar kahta hai ki Main falah ko na bakhshunga? Maine us (falah) ko bakhsh diya aur iske (qasam khane wale) ke aamal zaya kar diye’.” * [Sahih Muslim, Vol 6, 6681] ------------ ✦ Note: Iss Hadith se un sabhi so-called parhezgar musalmano ko sabaq lena chahihye jo dusre musalmano ko badi aasani se kah dete hain ki ye sab dozakhi hain...