Tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah ibn Masood (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki hum Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke zamane mein noujawan thay aur humein koi cheez (yaani, maal-doulat) mayassar (haasil) nahin thi. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Eh Naujawano ki jamaat, tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye, kyunki yeh nazar ko neechi rakhney wala aur sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai, aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey, kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega”. * [Sahih Bukhari, Jild 6, 5066] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्लाह इब्न मसूद (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की हम रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) के ज़माने में नौजवान थे और हमें कोई चीज़ (यान...