Sawari par sawaar hone / Safar ki Dua
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Azkaar reminder: *" Sawari par sawaar hone / Safar ki Dua. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (Roman Urdu): *" Aur jisne tamam qism ke haiwaanat paida kiye aur tumhare liye kashtiyan aur charpaye banaye jin par tum sawaar hote ho, taaki tum unki peeth par chadh baitho aur apne RABB ka ehsan yaad karo aur kaho ki:* --- *سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَـٰذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَىٰ رَبِّنَا لَمُنقَلِبُونَ* --- *Subhaanallazi sakhkhara lana hazaa wama kunna lahoo muqrineen, wa inna ila Rabbina Lamunqalibun.* --- *Wo Paak hai jisne isko hamare qaabu mein kar diya aur hum mein taqat na thi ki isko qaabu mein kar lete aur hamko apne RABB ki taraf hi laut kar jana hai. * [Al Quran, Surah Az-Zukhruf (43), Aayat 12-14] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अल क़ुरान (हिंदी): *" और जिसने तमाम क़िस्म के हैवानात पैदा किए और तुम्हारे लिए किश्तियाँ और चौपाए बनाए जिन पर तुम सवार होते हो, ताकि तुम उनकी पीठ पर चढ़ बैठो और अपने ...