Posts

Showing posts with the label Fasting

Tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah ibn Masood (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki hum Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke zamane mein noujawan thay aur humein koi cheez (yaani, maal-doulat) mayassar (haasil) nahin thi. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Eh Naujawano ki jamaat, tum mein jisey bhi Nikah karney ki taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye, kyunki yeh nazar ko neechi rakhney wala aur sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai, aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey, kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega”. * [Sahih Bukhari, Jild 6, 5066] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्लाह इब्न मसूद (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की हम रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) के ज़माने में नौजवान थे और हमें कोई चीज़ (यान...

Shabaan ke mahine mein Roze rakhne ki ahmiyat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Shabaan ke mahine mein Roze rakhne ki ahmiyat ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ✦ Hazrat Ayesha (radi allahu anhu) se rivayat hai - *“ Main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko Ramzan ke siwa kisi bhi mahine ke saare Roze rakhte huye unhe nahi dekha, aur kisi mahine mein Shaaban se ziyada Roze rakhte nahi dekha" .* [Sahih Muslim, Vol3, 2721] ✦ Hazrat Imran bin Husain (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne unse ya kisi aur aadmi se farmaya - *“ Kya tum ne Shaabaan ke beech mein kuch Roze rakhe?" * Unhone kaha - *" Nahi ".* To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Tum (ramzaan ke) iftaar ke din purey kar lo to (iske badle mein) do Rozey rakhna ".* [Sahih Muslim, Vol3, 2751] ✦ Hazrat Imran bin Husain (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu a...