Momeen ke achche Akhlaq ki fazeelat
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Momeen apne aala Akhlaq se saare din ke Rozedar aur sari raat ke Tahajjud guzaar ka darja haasil kar leta hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Aisha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Momeen apne aala Akhlaq se saare din ke Rozedar aur sari raat ke Tahajjud guzaar ka darja haasil kar leta hai ”.* [Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1370-Sahih] ✦ Hazrat Abu Darda (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Meezan-e-aamaal mein achche Akhlaq se bhaari koi cheez nahi ”.* [Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1371-Sahih] ✦ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Main us shakhs ke liye aala Jannat mein ek ghar ki zamanat deta hu jiske akhlaq aala (bahut achche) ho ”.* [Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan] ✦ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi ...