Posts

Showing posts with the label Isha

Fajar aur Isha ki Namaz, Pehli saf aur Jamaat ki Namaz ki fazeelat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Fajar aur Isha ki Namaz, Pehli saf aur Jamaat ki Namaz ki fazeelat. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Ubayy ibn Kaab (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Ye do (2) namazein (Fajar aur Isha) munafiqon par bahut bhaari hain. Agar tum jaan lete ki in do (2) namazon ka kitna sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey. Aur (namaz mein) pehli saf farishton ki saf ki tarah hai, agar tum jaan letey ki iski kitni fazeelat hai to yakeenan iski taraf sabqat kartey. Aur do (2) aadmiyon ka milkar namaz padhna akele namaz padhney se afzal hai aur teen (3) aadmiyon ka milkar namaz padhna do (2) aadmiyon ke milkar Namaz padhney se afzal hai aur namaz mein jis Qadar bhi (ziyada) log honge Allah Taala ke nazdeek woh namaz ziyada pasandeeda hogi". * [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 552-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत उबए इब्न ...