Posts

Showing posts with the label Hadith-e-Qudsi

Allah Subhanahu Qayamat ke din farmayega: “Eh Aadam ke bete Main Beemar hua to tune Meri khabar na li

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith-e-Qudsi: * Allah Subhanahu Qayamat ke din farmayega: “Eh Aadam ke bete Main Beemar hua to tune Meri khabar na li... * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Allah Subhanahu Qayamat ke din farmayega: ‘Eh Aadam ke  bête , Main beemar hua to tune Meri khabar na li’. Banda kahega: ‘Ya Parwardigar, main Teri khabar kaise leta Tu to Maalik hai saare jahan ka’. Allah Subhanahu farmayega: ‘Tujhko maloom nahi, Mera falah banda beemar hua tha tune uski khabar na li, agar tu uski khabar leta to Mujhe uske nazdeek pata. Eh Aadam ke bête, Main ne tujhse khaana manga tune Mujhe khaana na diya’. Wo kahega: ‘Eh Rab, main Tujhko kaise khilata, Tu to Maalik hai saare jahaan ka’. Allah Subhanahu farmayega: ‘Tu nahi jaanta Mere falah bande ne tujhse khaana maanga tune usko na khilaya, agar tu usko khilata to uska saw...