Posts

Showing posts with the label Surah Baqarah

Surah Al-Baqarah padhne se shaitaan ghar mein daakhil nahin hota

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Surah Al-Baqarah padhne se shaitaan ghar mein daakhil nahin hota. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Apney gharo ko Qabrein na banao. Woh ghar jis mein Surah Al-Baqarah padhi jaati hai is mein shaitaan daakhil nahin hota”. * [Jami Al-Tirmizi, Jild 2, 2877-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ अपने घरों को क़ब्रें न बनाओ। वह घर जिस में सूरह अल-बक़रह पढ़ी जाती है इस में शैतान दाख़िल नहीं होता ।” * [जामी अत-तिर्मिज़ी, जिल्द 2, 2877-सहीह] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of All...

Jo bhi haraf tum Surah Fatiha aur Surah Baqara ki aakhri aayaton se padhoge to

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ★ Hadith: * “ Jo bhi haraf, tum Surah Fatiha aur Surah Baqara ki aakhri aayaton se padhoge to ...”* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abdullah bin Abbas (radi Allahu anhu) ne kaha ki ek din Jibril (Alaihi Salam) Nabi, Muhammad ( ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sar uthaya, to Jibril (Alaihi Salam) ne kaha - *" Ye ek darwaza hai aasman ka, jo aaj khula hai aur us se pehle kabhi nahi khula ”.* Phir us se ek farishta utra, Jibril (Alaihi Aalam) ne kaha - *“ Ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra ".* Phir usne (farishte ne) kaha - *" Khushkhabri ho, aapko do Nooro ki jo aapko inaayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur Nabi ko nahi mile; Ek Surah Fatiha hai aur dusri Surah Baqara ki aakhri aayatein, aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe zaroor milegi ...