Jo bhi Muhammad (ﷺ) ke liye Waseela’ maangega, usey Qayamat ke din
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Jo bhi Muhammad (ﷺ) ke liye Waseela’ maangega, usey Qayamat ke din Muhammad (ﷺ) shafaat milegi…" * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Allah Subhanahu se mere liye ‘Waseela’ maanga karo”. * Sahaba (radi Allahu anhuma) ne poocha - * “Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), ‘Waseela’ kya hai?” * To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Yeh Jannat ka sabse aala darja hai aur wo sirf ek hi shakhs ko ata kiya jaayega, aur main umeed rakhta hu ki woh main hi hoon”. * [Jami At-Tirmizi, Jild 2, 3612-Sahih] ❷ Hazrat Jabir bin Abdullah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs Azaan sunkar yeh kahe << _ Allahumma Rabba hazihid-daawatit-tammaa was-salatil ...