Posts

Showing posts with the label wudu(Ablution)

Sharmgaah ko chune se Wuzu toot jata hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Sharmgaah ko chune se Wuzu toot jata hai. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ❶ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jo (Aadmi) apni agli sharmgaah ko chuye, woh Wuzu kare, isee tarah jo Aurat apni sharmgaah ko chuye, woh bhi Wuzu kare ”.* [Masnad Ahmad, 781-Sahih] ❷ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jo Aadmi apni sharmgaah ko chuye, woh us waqt tak Namaz na padhe, jab tak Wuzu na kar le ”.* [Musnad Ahmad, 783-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ❶ रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जो आदमी अपनी अगली शर्मगाह को छुए, वो वुज़ू करे, इसी तरह जो औरत अपनी शर्मगाह को छुए, वो भी वुज़ू करे । "* [मसनद अहमद, 781-सहीह] ❷ रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जो आदमी अपनी शर्मगाह को छुए, वो उस वक़्त तक नमाज़ ना पढ़े, जब तक वुज़ू ना कर ले । "* [मुसनद अहमद, 783-सहीह] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Touching private p...

Wuzu sahi na hone par wuzu aur namaz ko dohraney ka hukm

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Wuzu sahi na hone par wuzu aur namaz ko dohraney ka hukm…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Ek Sahabi (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki * “Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne ek shakhs ko namaz padhtey dekha, uskey paaw ke upari hisse mein ek Dirham ke barabar jagah sookhi reh gayi thi, wahan paani nahin pahuncha tha. To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne usey Wuzu aur Namaz, dono ko lotaney ka hukm diya”. * [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 175-Sahih] ❷ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Us shakhs ki namaz nahi jiska wuzu nahi, aur us shakhs ka wuzu nahi jisne iske shuru mein "Bismillah" na padhi ho”. * [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 101-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ एक सहाबी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की * “रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ...

Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab koi Musalman ya Momin banda, wuzu karta hai aur munh dhota hai, to paani ke saath ya aakhri qatre ke saath uske munh se woh sab (saghirah) gunah nikal jaate hain jo usne aankho se kiye; phir jab haath dhota hai, to uske haatho mein se har ek gunah, jo haath se kiye thay woh paani ke saath ya aakhri Qatre ke saath nikal jaate hain; phir jab paanw dhota hai, to uske paanwo mein se har ek gunah jo paanw se chalkar kiye thay, woh paani ke saath ya aakhri Qatre ke saath nikal jaate hain, yahan tak ki woh sab gunaho se paak saaf hokar nikal jaata hai”. * [Sahih Muslim, Jild 1, 577] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाह...

Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Uthman bin Affan (radi Allahu anhu) ne wuzu ka pani mangwaya aur wuzu kiya to, * pehle dono haatho ko (kalaaii tak) teen baar dhoya, phir (teen baar) kulli ki aur naak mein pani daala (teen baar), aur uske baad teen baar munh dhoya, aur phir dahina haath kohni tak teen baar dhoya, aur uske baad bahina haath kohni tak teen baar dhoya, phir sar ka masaa kiya, aur phir dahina paanw (takhno) dhoya teen baar, aur phir bahina paanw dhoya teen baar * aur uske baad kaha ki main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko dekha ki aapne isee tarah wuzu kiya jaisa main ne abhi kiya aur phir Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne is tarah wuzu karne ke baad farmaya tha - *“ Jo shakhs mere wuzu ki tarah wuzu kare phir 2 rakat (nawaafil) khade hokar padhe aur kisi khayal mein garq na ho (yani faltu...

Jo shakhs apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki woh wuzu karey

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Jo shakhs apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki woh wuzu karey.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Busrah bint Safwan (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs apni sharmgaah ko chu le usey chahiye ki woh wuzu karey”. * [Sunan Nasaii, Jild 1, 447-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत बुसराह बिन्त सफ़वान (रदी अल्लाहू अन्हा) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “जो शख़्स अपनी शर्मगाह को छू ले उसे चाहिए की वो वुज़ू करे।” * [सुनन नसाई, जिल्द 1, 447-सहीह] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “If any one of you touches his private part with his hand, let him perform Wudu (Ablution).” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated by Busrah bint Safwan (may Allah be pleased with her) that the Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) said - * "If any one of you t...

Jo banda bhi taharat ki halat mein sota hai, farishte uske liye dua karte hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Jo banda bhi taharat ki halat mein sota hai, farishte uske liye dua karte hai.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Apne inn jismo ko paak karo, Allah Subhanahu tumhein pakeezgi ataa farmaye. Jo banda bhi taharat ki halat mein soye (yani wuzu kar ke soye) to ek farishta uske saath raat guzarta hai aur jab bhi wo shakhs raat ke kisi bhi waqt karwat badalta hai to farishta kehta hai: ‘Eh Allah, apne bande ko maaf farma, kyunki wo wuzu karke soya tha’.” * [Al-Muajam Al-Awsat Tabrani, 5087-Hasan; Sahih Al-Jame, 3936-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “अपने इन जिस्मों को पाक़ करो, अल्लाह सुबहानहु तुम्हे पाकीज़गी अता फरमाए । जो बंदा भी तहारत की हालत में (यानि वुज़ू करके) सोए तो एक फ़रिश्ता उसके साथ रात गुज़ारता है जब भी वो शख़्स रात के किसी भी वक़्त करवट बदलता है तो फ़रिश्ता ...

Allah Subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain…

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Allah Subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman-Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab tum mein se koi wuzu kare aur achchi tarah wuzu kare, aur phir Masjid ki taraf sirf namaz ki niyat se jaaye, to uske har qadam par Allah Subhanahu uska ek darja buland farma dete hain aur ek khata maaf farma dete hain”. * [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 281-Sahih] ❷ Hazrat Umar bin Khattab (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs achchi tarah wuzu karey aur phir kahe ki ‘Ashhadu alla ilaha illallahu, wa ash-hadu anna muhammadan abduhu wa rasooluhu’ (Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad ﷺ sallAllahu alaihi wasallam, Allah ke bande aur Rasool hain) to aise...