Posts

Showing posts with the label Khudkushi (Suicide)

Khudkushi Haraam hai. Khudkushi karne wala Jahannam mein jaayega.

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Khudkushi Haraam hai. Khudkushi karne wala Jahannam mein jaayega. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jo shakhs khud ko apna gala ghont kar maar deta hai, to woh Jahannam mein bhi apna gala ghont-ta rahega aur jo kisi teer ya barchi (yani dhaardar cheez) se apney aapko maar daaley to woh Jahannam mein bhi apney aapko isi tarah maarta rahega”. * [Sahih Bukhari, Jild 2, 1365] ❷ Hazrat Jundub (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Pichley zamaney mein ek shakhs zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi, aakhir usney churi (knife) se apna haath kaat dala aur khoon behney laga jis ki wajah se woh mar gaya. Allah Ta’ala ne farmaya: ‘Mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye main ney bhi Jannat...