Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab koi Musalman ya Momin banda, wuzu karta hai aur munh dhota hai, to paani ke saath ya aakhri qatre ke saath uske munh se woh sab (saghirah) gunah nikal jaate hain jo usne aankho se kiye; phir jab haath dhota hai, to uske haatho mein se har ek gunah, jo haath se kiye thay woh paani ke saath ya aakhri Qatre ke saath nikal jaate hain; phir jab paanw dhota hai, to uske paanwo mein se har ek gunah jo paanw se chalkar kiye thay, woh paani ke saath ya aakhri Qatre ke saath nikal jaate hain, yahan tak ki woh sab gunaho se paak saaf hokar nikal jaata hai”. * [Sahih Muslim, Jild 1, 577] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाह...