Salaat At-Tauba (Allah se maafi talab karne ki namaz)
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Salaat At-Tauba (Allah se maafi talab karne ki namaz).” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Ali (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Hazrat Abu Bakr (radi Allahu anhu) ne farmaya ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jab koi banda gunah kar baithe phir wuzu kare aur khoob achchi tarah wuzu kare uske baad 2 rakaat namaz padhe aur Allah Subhanahu se apne us gunah ki maafi maange to Allah Subhanahu uske gunah ko yaqeenan maaf farma dega phir unhone yeh aayat tilawat farmayee: * --- * وَالَّذِينَ إِذَا فَعَلُوا فَاحِشَةً أَوْ ظَلَمُوا أَنفُسَهُمْ ذَكَرُوا اللَّهَ فَاسْتَغْفَرُوا لِذُنُوبِهِمْ وَمَن يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا اللَّهُ وَلَمْ يُصِرُّوا عَلَىٰ مَا فَعَلُوا وَهُمْ يَعْلَمُونَ * --- * Tarjuma: Aur woh log jo koi khula gunah (fahisha, zina) kar baithte hain ya apne haq mein koi aur burayee kar baithte hain to Allah Subhanahu ko yaad karte hain aur apn...