Posts

Showing posts with the label Nooh

Nooh Alaihi Salam ki apne beto ko Aakhri Naseehat

Image
Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Allah ke Nabi, Hazrat Nooh (Alaihi Salam) ki apne beto ko Aakhri Naseehat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Allah ke Nabi Nooh (Alaihi Salam) ki wafaat ka waqt aaya to unhone apne bete se kaha: 'Main tumhein waseeyat karta hu; Main tumehin do (2) baaton ka hukm deta hu aur do (2) baaton se mana karta hu. Main tumehin 'La ilaha illAllah' ka hukum deta hu kyunki agar saaton (7) aasman aur zameen ek palde mein rakhein jaaye aur 'La ilaaha illAllah' dusre palde mein, to 'La ilaaha illAllah' ka palda bhaari ho jaayega. Agar saaton zameen aur saaton aasman ek mazbut daayra ban jaaye to 'La ilaaha illAllah' inhe bhi tod dega. Mein tumhein 'Subhaan Allahi Wa bihamdihi' ka hukm deta hu kyunki yeh har makhluq ki dua hai, aur iss ke zariye sabko rizq diya jaata hai, aur mein tumhein shirk aur takab...