Daily Calendar Hadiths - 23 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki karte raho, Allah Ta'ala neki karne waalon ko pasand karta hai”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqara: Verse/Ayat no. 195]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajah se ek meel door chala jaata hai”.* [Book of Tirmizi, 1972]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Tum log (maal-o-daulat aur dunyawi raahat-o-aaraam mein) apne se oopar waalon ko na dekho (is se laalach aur hasad paida hoga) aur tum log hamesha apne se neeche ke logon ko dekho (is se shukr ada karne ka jazba paida hoga).”.* [Book of Musnade Ahmad, 21415]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Tum apni aulaad ki tarah maa-tehton (naukar chaakar) aur yateemon ke saath achcha sulook karo, aur jo tum khaate ho, un ko bhi khilaao”.* [Book of Ibn-e-Maaja, 3691]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta chalta musaafir”.* [Book of Bukhari, 6416]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo

Allah se Aulad maangne ki Dua

Subah, Shaam aur Pareshani ke waqt padhne ki dua