Daily Calendar Hadiths - 20 January

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Jis tarah Allah Ta'ala ne tumhaare saath ehsaan ka maamla kiya hai, tum bhi logon ke saath ehsaan ka maamla karo”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Qasas: Verse/Ayat no. 77)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Apne padosi ke saath achchha sulook karo, tum kaamil (poore) imaan waale ban jaaoge”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 2305)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Ek saath khaana khaao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhaare liye barkat hogi”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No. 3764)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya:: *“Yeh bohot hi badi khayaanat (betrayal) hai ke tum apne bhaai se koi jhooti baat bayaan karo, aur woh tum ko us baat mein sachcha samajhta ho”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No. 4971)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *Apne Hasab-o-Nasab ko seekho (rishtedaaron ko jaano) taake tum un ke saath sila rahmi kar sako, is liye ke sila rahmi karne se rishtedaaron mein muhabbat, maal mein wus’at aur umr mein izaafa hota hai”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 1979)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi