Daily Calendar Hadiths - 21 January
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya : *“Kanjoosi se bacho, kyunke tum se pehli qaumein isi kanjoosi ki wajah se barbaad huwien”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No. 1698)
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne:
: *“rishwat dene waale aur rishwat lene waale par laanat farmaayi hai”.*
(Book of Abu Daaood: Hadees No. 3580)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Neki aur buraai baraabar nahin hoti, is liye tum buraai ka jawaab aise tareeqe se do jo behtareen ho, Nateeja yeh hoga ke tujh mein aur jis mein dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega”.*
(Quran: Chapter/Surah-e-Ha meem Sajadah: Verse/Ayat no. 34)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:: *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achcha kiya, toh yaqeenan tum ne achchha kiya”.*
(Book of Ibn-e-Maaja: Hadees No. 4223)
► ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:
: *“Apni peethh par lakdiyaan laad kar (bechne waala aur rozi) kamaane waala shakhs kisi ke saamne haath phailaane waale se behtar hai”.*
(Book of Bukhaari: Hadees No. 2074)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/EasWThLjiWrD8Qy0XJbZUU _(ONLY FOR MALES)_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _(ONLY FOR FEMALES)_
--- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_
► LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
►LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•




