Daily Calendar Hadiths - 24 January

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya hai: *“Be shak shaitan tumhaara dushman hai, to tum bhi use apna dushman hi samjho”.* b (Quran: Chapter/Surah e-Faatir: Verse/Ayat no. 6)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Mubaarak hai woh banda jise Allah ta’ala khair ke kaamon ki kunji (chaabi) banaaye aur bure kaamon se rokne ka zariya (taala) banaaye”.* (Book of Sunan Ibn Majah: Hadees No. 238)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achchha kiya to yaqeenan tum ne achchha kiya”.* (Book of Moajame Ausat: Hadees No. 2982)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:: *“Agar tum logon ki galtiyaan talaash karne lagoge, toh tum un ko bigaad doge (ke woh be sharam ho kar khullam khulla gunah karne lageinge)”.* (Book of Abu Daawood: Hadees No. 4888)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Allah Ta’ala qayaamat ke din aise shakhs ko apne saaye mein jagah deinge, jis ko koi khoobsoorat aurat haraamkaari ke liye bulaaye to woh sirf Allah ke dar se door rahe”.* (Book of Bukhaari: Hadees No. 6806-Mafhoom)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi