Daily Calendar Hadiths - 19 January

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab bimaari ko sahi dawa pahonch jaati hai, to Allah Ta’ala ke hukm se bimaari theek ho jaati hai”.* (Book of Muslim: Hadees No. 5741)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *"Yeh haqeeqat hai ke jo koi sabr se kaam le aur darguzar kar jaye to yeh badi himmat ki baat hai".* (Quran: Chapter/Surah-Ash-Shuraa: Verse/Ayat no. 43)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Allah ki razaamandi maan baap ki razaamandi mein hai aur Allah ki naaraazgi maan baap ki naaraazgi mein hai”.* (Book of Tirmizi: Hadees No.1899)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya:: *”Tum achchi tarah baat karne aur khaana khilaane ko laazim pakdo”.* (Book of Mustadrak Haakim: Hadees No.61)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *”Jo shakhs tumhaare saath “Khayaanat” kare to tum us ke saath “Khayaanat” na karo”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No.3535)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi