Posts

Showing posts from April, 2022

Daily Calendar Hadiths - 30 April 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Murde par rona chillana jaahiliyat ke kaamon mein se hai”.*  [Book of Ibn-e-Maaja, 1582] https://youtu.be/TH-jyBt_gWg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Tum na to kamzor pado, na dukhi ho".*  [Quran, Surah-aal-e-Imran; Verse/Ayat-139] https://youtu.be/f2wQit4T2Jg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Qarz ki addaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm hai”.*  [Book of Bukhari, 2400] https://youtu.be/sCywe6isLuc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Apne beemaron ko zabardasti khilane pilane ki koshish na karo, kyun ke Allah Ta’ala unhein khilata aur pilata hai”.*  [Book of Tirmizi, 2040] https://youtu.be/MsAT92WIPX0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alai

Daily Calendar Hadiths - 29 April 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Bagair ilm wa tajarbe ke ilaaj karoge to tum se puchha jaayega”.*  [Book of Abu Daaood, 4586] https://youtu.be/hW6ccdqQZhs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Be shak Allah Ta’ala itraane waale, badaai maarne waale ko pasand nahein karta".*  [Quran, Surah-e-Nisa; Verse/Ayat-36] https://youtu.be/0fqoKtotvWw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum mein se kisi ka luqma gir jaaye to use saaf kar ke kha le, shaitaan ke liye na chhode”.*  [Book of Muslim, 5303] https://youtu.be/YKSFpeLTc9w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum wazan karo toh jhukta wazan karo”.*  [Book of Tirmizi,1305] https://youtu.be/wxII5E0sSoU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasa

Daily Calendar Hadiths - 28 April 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.*  [Book of Bukhari: Hadees No. 6436] https://youtu.be/MLIT6B9r-Zk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai”.*  [Book of Sho’abul Imaan, 8152] https://youtu.be/PEb0Mqzj3UM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega”.*  [Book of Musnade Bazzaar, 1399] https://youtu.be/KCHvpi1MSTs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaayi ki ummeed karein aur hs ke shar (takleef) se mehf

Daily Calendar Hadiths - 27 April 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne’maton ko jhutlaaoge?".*  [Quran, Surah-e-Rehman; Verse/Ayat-34] https://youtu.be/xbjZcQDIhNA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne bura kiya to yaqeenan tum ne bura kiya”.*  [Book of Moajama Ausat, 2982] https://youtu.be/M0vIoDXiTG0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum mein se kisi ko gussa aaye to use chaahiye ke khaamoshi ikhtiyaar kare.”*  [Book of Musnade Ahmed, 2136] https://youtu.be/dTAX3Q4AfFo   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Woh shakhs (kaamil) Imaan waala hai, jo pet bhar kar khaaye aur us ka padosi bhooka rahe”.*  [Book of Sho’abul Imaan, 5660] https://youtu.

Shab-e-Qadr ki raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * "Shab-e-Qadr ki raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Shab-e-Qadr (Ramzan ke mahine ki) 27 ya 29 ki raat ko hoti hai. Iss raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai”. * [Al-Silsila tus Sahiha, 2262] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “शब-ए-कद्र (रमज़ान के महीने की) 27 या 29 की रात को होती है । इस रात में ज़मीन पर फरिश्तों की तादाद कंकरीयों की तदादा से ज्यादा होती है ।" * [अल सिलसिला सहीहा, 2262] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “On the night of Al-Qadr (Night of Decree), the angels on earth are more numerous than its pebbles." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): The Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) sa

Daily Calendar Hadiths - 26 April 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Logon mein sab se bura woh hai, his ki umar lambi ho aur amal bure ho.”*  [Book of Tirmizi,  2939 ]   https://youtu.be/i-uMoTNk8mk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:   * “Zameen par sab se behtareen paani aabe zamzam hai, yeh khaane waale ke liye khaana aur bimaar ke liye shifa hai.”*  [Book of Tabraani Ausaat, 4059] https://youtu.be/wVqzDggYqG8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai.”*  [Book of Mua’tta Malik, 1670] https://youtu.be/zppHPRjEgIw   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “(Sab se afzal (behtar) sadqa yeh hai ke) tu us waqt sadqa kare, jab tu sehat-mand ho aur tujhe maal ki khawwahish ho.”*  [Book of

Shab-e-Qadr mein Ibaadat karne ki fazilat

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-Al-Quran:  * “Shab-e-Qadr mein Ibaadat karne ki fazilat.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya -  * “Jo shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur Ibaadat mein guzaare to uske pichle gunah bakhsh diye jaate hain”. *  [Sahih Bukhair, 35] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया -  * “जो शख्स शब-ए-कद्र इमान के साथ और सिर्फ आखिरत के सवाब के लिए ज़िक्र और इबादत में गुज़ारे तो उस के पिछले गुनाह बख्श दिए जाते हैं ।“ *  [सही बुखारी, 35] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-Al-Quran:  * “Signs of the Night of Al-Qadr.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) s

Daily Calendar Hadiths - 25 April 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Logon mein sab se  behtar woh hai, jis ki umar lambi ho aur amal achchhe hon.”*  [Book of Tirmizi, 2939] https://youtu.be/G45WuV1IsVw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  * “Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dho le.”*  [Book of Bukhari,162] https://youtu.be/ibVFyg8zZ9c •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein had se aage na badho, jis ke nateeje mein tum par mera gazab naazil ho jaaye".*  [Quran, Surah-Taha; Verse/Ayat-81] https://youtu.be/KQU4reqJrfI   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Allah ta’ala farmaata hai: Ae mere bando! Main ne apne oopar zulm ko haraam kar diya

Shab-e-Qadr ki nishaniyan - Signs of the Night of Al-Qadr

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-Al-Quran: * “Shab-e-Qadr ki nishaniyan.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Ubada (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Shab e Qadr Ramzan ke mahine ke akhri ashre mein hoti hai. Jo shakhs is ka sawab haasil karne ke liye un mein Qiyam kare, to Allah is ke agle-pichle saare gunah maaf farma dega. Yeh taaq raaton mein hoti hai yani aakhri ashre ki 9, 7, 5, 3, ya aakhri raat (yani 29, 27, 25, 23, 21)”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne yeh bhi farmaya - * “Shab-e-Qadar ki nishani yeh hai ke woh raat roshan aur chamakdaar hoti hai, is mein chand ki roshni bhi khoob ujli hoti hai, woh raat pur-sukun aur gehri (mautadil) hoti hai. Yeh raat na garam hoti hai, na thandi hoti hai, is raat mein subah tak sitaare tod kar nahi maare jaate. Is ki nishani yeh bhi hai ke is ki subah ko jab sooraj roshan hota hai to woh seedha barabar ni

Daily Calendar Hadiths - 24 April 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo".*  [Book of Bukhari : Hadees No. 6125] https://youtu.be/2aL9u5PODwI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Thodi cheez par raazi raho, logon mein sab se ziyaada shukr ada karne waale ban jaaoge".*  [Book of Ibn e Maaja, 4217] https://youtu.be/sel8jYL6KFw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ): * “logon mein sab se ziyaada sakhi the aur ramzaan ke maheene mein Aap ki sakhaawat aur badh jaaya karti thi".*  [Book of Bukhari, 3554] https://youtu.be/_IkNEGdigdI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Rozedar ke liye do khushkhabriyan hain: ek khushi iftar karte waqt hoti hai aur us waqt jab wo apne rab se milega".*  [Book of Tirmizi, 766]

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz…

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ) ki Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Zarr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki humne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke saath Ramzan ke roze rakhe un hone humko 23 raat tak Qayam-Al-Lail ki namaz nahi pdhayee. Phir 23 raat ko ek tihayee raat tak namaz padhate rahe. Phir 24 raat ko namaz nahi padhayee aur phir 25 raat ko aadhi raat tak namaz padhate rahe. Maine arz kiya - * “Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), kaash aap baaqi raat mein bhi hamare saath isee tarah namaz ada farmate”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne irshaad farmaya - * “Jo shakhs Imam ke saath (Qayam mein) khada ho aur uske faarig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam-Al-Lail (sari raat namaz pdhne) ka sawab milta hai”. * Aur uske baad Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam