Daily Calendar Hadiths - 26 April 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein sab se bura woh hai, his ki umar lambi ho aur amal bure ho.”* [Book of Tirmizi, 2939] 
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Zameen par sab se behtareen paani aabe zamzam hai, yeh khaane waale ke liye khaana aur bimaar ke liye shifa hai.”* [Book of Tabraani Ausaat, 4059]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai.”* [Book of Mua’tta Malik, 1670]

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“(Sab se afzal (behtar) sadqa yeh hai ke) tu us waqt sadqa kare, jab tu sehat-mand ho aur tujhe maal ki khawwahish ho.”* [Book of Bukhari, 2748]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Ziyaada mat hansa karo, is liye ke ziyaada hansi dil ko murda kar deti hai.”* [Book of Tirmizi, 2305]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi