Daily Calendar Hadiths - 24 April 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo".* [Book of Bukhari : Hadees No. 6125]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Thodi cheez par raazi raho, logon mein sab se ziyaada shukr ada karne waale ban jaaoge".* [Book of Ibn e Maaja, 4217]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ): *“logon mein sab se ziyaada sakhi the aur ramzaan ke maheene mein Aap ki sakhaawat aur badh jaaya karti thi".* [Book of Bukhari, 3554]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Rozedar ke liye do khushkhabriyan hain: ek khushi iftar karte waqt hoti hai aur us waqt jab wo apne rab se milega".* [Book of Tirmizi, 766]
https://youtu.be/mX9EPMsBjqM
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ne pahaad se ludhak kar khudkushi ki hogi, woh Jahannam mein hamesha hamesh ludhakta rahega".* [Book of Bukhari, 5778]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80