Daily Calendar Hadiths - 28 April 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari: Hadees No. 6436]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai”.* [Book of Sho’abul Imaan, 8152]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega”.* [Book of Musnade Bazzaar, 1399]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaayi ki ummeed karein aur hs ke shar (takleef) se mehfooz ho”.* [Book of Tirmizi, 2263]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Koi mard kisi ajnabi aurat ke saath tanhaai mein na baithhe warna un mein teesra shaitaan hota hai”.* [Book of Tirmizi, 2165]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80