Daily Calendar Hadiths - 25 April 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein sab se behtar woh hai, jis ki umar lambi ho aur amal achchhe hon.”* [Book of Tirmizi, 2939]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dho le.”* [Book of Bukhari,162]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein had se aage na badho, jis ke nateeje mein tum par mera gazab naazil ho jaaye".* [Quran, Surah-Taha; Verse/Ayat-81]

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah ta’ala farmaata hai: Ae mere bando! Main ne apne oopar zulm ko haraam kar diya hai, aur us ko tumhaare darmiyaan bhi haraam kar diya hai, lihaaza tum ek doosre par zulm mat kiya karo.”* [Book of Muslim, 6572]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Salaam ko khoob phailaao tum salaamat rahoge aur itraana (akadna) bahot buri aadat hai.”* [Book of Musnad-e-Ahmed, 18530]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80