Posts

Showing posts from March, 2022

Daily Calendar - Quran & Hadith - 31 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *" Har ek ko maut ka maza chakhna hai ".*[Quran, Surah Aal-e-Imraan; Verse/Ayat no.185] https://youtu.be/4PORgA8Qq0I •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Tamaam logon ke saath achchhe akhlaaq se pesh aao ".* [Book of Tirmizi, 1987] https://youtu.be/g-3zRhkb_HM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *" (Allah Ta'ala farmaate hain) mujhe (ne'maton par) yaad karo, main tumhein yaad rakhoonga". *[Al-Quran, Surah-Baqarah; Verse/Ayat no.152] https://youtu.be/IeIdQeVaEb4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jannat ke aath darwaaze hain, Unme ek darwaze ka naam Ryan hai. Jisse daakhil hone wale sirf Rozedar honge ".* [Book of Bukhari, 3257] https://youtu.be/Ldo89XV9unU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke

Daily Calendar - Quran & Hadith - 30 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Allah ki rahmat se maayus na ho ".*  [Quran, Yusuf; Verse/Ayat no.87] https://youtu.be/sQv1-uotA9s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Sadqa wa khairaat se maal mein kuch bhi kami nahein hoti hai".*  [Book of Muslim, 6592] https://youtu.be/nM9Nwsyvst8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:   *“Woh shakhs bada achchha insan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe".*  [Book of Sho'abul Imaan, 3388] https://youtu.be/HqCCP45qlY4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye".*  [Book of Bukhari, 5027] https://youtu.be/yFievywLORU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈

Khak-aalood ho naak uski, jo apney waladein (maa-baap) ko budha paye aur phir Jannat mein na jaaye

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Khak-aalood ho naak uski, jo apney waladein (maa-baap) ko budha paye aur phir Jannat mein na jaaye.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Khak-aalood ho naak uski, phir khak-aalood ho naak uski, phir khak-aalood ho naak uski”. * Pucha gaya - * “Kaun hai woh, ya Rasool-Allah?” * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo apney waladein (maa-baap) ko budha paye, dono ko ya ek ko inn mein se, phir Jannat mein na jaaye” (unki khidmat-guzaari karkey). * [Sahih Muslim, Neki Suluq aur Adab ke masayeel, 6510] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “खाक-आलूद हो नाक उसकी, फिर खाक-आलूद हो नाक उसकी, फिर खाक-आलूद हो नाक उसकी।” * पूछा गया - * “कौन है वह, या रसूल-अल्

Azkar : Eh Allah, Mujhe mere nafs ke hawaale na kar

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ *Azkar Reminder* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * اللَّهُمَّ لَا تَكِلْنِي إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا *  --- * Allahumma laa takilni ila nafsi tarfata aynin abada .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * Eh Allah, kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi mujhe mere nafs ke hawaale na kar *. [Al Silsila As sahiha, 2942] --- * एह अल्लाह, कभी भी पलक झपकने के बराबर भी मुझे मेरे नफ़स के हवाले ना कर l* [अल सिलसिला अस सहिहा, 2942] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * O Allah, Never leave me in charge of my Nafs (my self) even for a blink of an eye *. [Al Silsila As Sahiha, 2942] --- * اے الله، کبھی بھی پلک جھپکنے کے برابر بھی مجھے میرے نفس کے حوالے نہ کر ۔*  _السلسلہ صحیحہ، ٢٩٤٢_ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/03/azkar-eh-allah-mujhe-mere-nafs-ke.html https://www.youtube.com/watch?v=rrDeAwch3Qw *WhatsApp Groups* https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_ https://chat.whatsap

Daily Calendar - Quran & Hadith - 29 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ko haq baat maalum ho woh logon ke dar se haq baat hargiz na chhode".*  [Book of Tirmizi, 2191] https://youtu.be/zgbIQ36Iy3s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Mazloom ki bad dua se bacho; kyun ke us ki bad dua aur Allah ke beech koi parda nahein hai".*  [Book of Bukhari, 2448] https://youtu.be/uUAjNKawSas •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta’ala duniya hi mein jaldi de dete hain;(1) Zulm,(2) Waalidain ki naafarmaani".*  [Book of Jamiul Ahadees, 583] https://youtu.be/ortwl6s660Y •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achcha kiya, toh yaqeenan tum ne achcha kiya"

Farishtey tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yun hi dua kartey rahtey hain jab tak…

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Farishtey tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yun hi dua kartey rahtey hain jab tak…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Farishtey tum mein se us namazi ke liye us waqt tak yun hi dua kartey rahtey hain jab tak (namaz padhney ke baad) woh apney musalley (namaz ki jagah) par baitha rahey aur hadas (hawa kharij) na karey (Farishte dua karte hain) ki ‘Eh Allah, iski maghfirat farma, Eh Allah, is par reham farma’. Tum main se wo shakhs jo sirf namaz ki wajah se ruka hua hai ghar jaaney se, siwa namaz ke aur koi cheez uskey liye aham nahi, to uska (yeh saara waqt) namaz hi mein shumar hoga”. * [Sahih Bukhari, Jild 1, 659] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “फ

Daily Calendar - Quran & Hadith - 28 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Hirs (laalach) se bacho isliye keh tum se pehle log hirs (laalach) ki wajah se halak ho chuke hain".*  [Book of Abu Daaood, 1698] https://youtu.be/Z7Zcb_NmnWs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Mai us shakhs ke liye Jannat kr andar ek ghar ka zamin hu jo ladai jhagda tark kar de, bhale hi wo haq par ho".*  [Book of Abu Dawood, 4800] https://youtu.be/3TNPIsnGtnw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:   *"Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal kr mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge".*  [Quran, Chapter/Surah-E-Nahl; Verse/Ayat no.97] https://youtu.be/s-euSIcA3n8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi

Ramazan mein Umrah karna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ✦ Hadith: *" Ramazan mein Umrah karna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai ."* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki - *” Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) jab Hajj-e-vida se waapas huae to Aap ne umm sinan ansariya aurat se farmaya ki, ‘Tum Hajj karne (kyun) nahi gayee?’ Usne kaha ki falaah ke waalid yani mere khawind (husband) ke pass do oont (camel) pani pilane ke liye they ek par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai. Is par Aap ne farmaya ki, ‘Ramzan mein Umrah kar lena kyunki  yeh mere saath hajj karne ke barabar hai ”.* [Sahih Bukhari, Jild 3, 1863] ✦ Hazrat Abdullah ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se ek shaksh ne pucha ki - *" Aap ke saath hajj karne ke barabar (sawaab mein) dusri

Allah Ta’ala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa) is bacchey par meharban hai.

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Allah Ta’ala apney bando par is sey bhi ziyada mehrbaan hai jitni ye aurat (Maa) is bacchey par meharban hai.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Umar bin Khattab (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke paas Qaidi aye, ek aurat unmein se (kisi ko) dhundhti huyee aayee, jab usney un qaidiyon mein se ek bachchey ko paya to usko utha liya aur seeney se lagaya aur doodh pilaya. Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne humse farmaya - * “Kya yeh Aurat apney bachchey ko angar mein daal sakti hai? * Humney kaha - * “Nahi, Qasam Allah ki woh kabhi nahi daal sakti”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Allah Ta’ala apney bando par is sey bhi ziyada meharbaan hai jitni ye aurat is bacchey par meharban hai”. * [Sahih Muslim, Jild 6, 6978] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत उमर बिन खत्ताब (रदी अल्लाहू

Daily Calendar - Quran & Hadith - 27 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Apne padosi ke saath achchha sulook karo, tum kaamil (poore) imaan waale ban jaoge".*  [Book of Tirmizi, 2305] https://youtu.be/HwoTu76JhbA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne Aisi chhat par sone se mana farmaaya hai:  *“jo (chaaron taraf se) ghiri huwi na ho".*  [Book of Tirmizi, 2854] https://youtu.be/j5ZwcVbVxXQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya : *“Naahaq faisla karne waala qaazi (Judge) Jahannam mein jaayega".*  [Book of Abu Daaood, 3573] https://youtu.be/9wTHsQMK4Ks •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Aye humare parwardigaar! Agar hum se koi bhool chook ho jaaye, to humaari girift na farmaaiye".*  [Quran, Chapter/Surah-E-Baqarah Verse/Ayat no.286] https://youtu.be/XAUd5qZlV4s

Daily Calendar - Quran & Hadith - 26 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Us aadmi se behtar kisi ne nahin khaaya, jis ne apne haath ki kamaai se khaaya".*  [Book of Bukhari, 2072] https://youtu.be/PzVLVdatwHg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Jo koi Allah se darega, Allah us ke liye mushkil se nikalne ka raasta paida kar dega".*  [Quran, Chapter/Surah-E-Talaq Verse/Ayat no.02] https://youtu.be/U2Zp5e2p-KM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (Judge) Jannat mein jaayega".*  [Book of Abu Daaood, 3573] https://youtu.be/Nuxv6ucbHn4   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Tum sab apne Rab (Allah) se maafi maango, phir usi ki taraf (ibaadat ke zariye) mutawajja ho jaao, yaqeen rakho ke mera Rab bada meharbaan aur bahot mohab