Daily Calendar - Quran & Hadith - 31 March 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Har ek ko maut ka maza chakhna hai".*[Quran, Surah Aal-e-Imraan; Verse/Ayat no.185]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tamaam logon ke saath achchhe akhlaaq se pesh aao".* [Book of Tirmizi, 1987]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"(Allah Ta'ala farmaate hain) mujhe (ne'maton par) yaad karo, main tumhein yaad rakhoonga".*[Al-Quran, Surah-Baqarah; Verse/Ayat no.152]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jannat ke aath darwaaze hain, Unme ek darwaze ka naam Ryan hai. Jisse daakhil hone wale sirf Rozedar honge".* [Book of Bukhari, 3257]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon".* [Book of Bukhari, 6474]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80