Daily Calendar - Quran & Hadith - 28 March 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Hirs (laalach) se bacho isliye keh tum se pehle log hirs (laalach) ki wajah se halak ho chuke hain".* [Book of Abu Daaood, 1698]
https://youtu.be/Z7Zcb_NmnWs
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mai us shakhs ke liye Jannat kr andar ek ghar ka zamin hu jo ladai jhagda tark kar de, bhale hi wo haq par ho".* [Book of Abu Dawood, 4800]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal kr mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge".* [Quran, Chapter/Surah-E-Nahl; Verse/Ayat no.97]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs ne kisi nujoomi (jyotish) ke paas ja kar kuch poocha toh us ki 40 raat (aur din) ki namaaz (wagairah) qubool nahi hogi (sawab nahi milega)".* [Book of Muslim, 5957]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin".* [Book of Sho’abul Imaan, 4354]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80