Posts

Showing posts from December, 2022

Daily Calendar Hadiths - 31 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne'amaton ko jhutlaaoge?”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 34] https://youtu.be/W1RcLPbwPf0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aapas mein ek doosre ka maal naahaq tareeqon se na khaao”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 188] https://youtu.be/sGVmQCe_pJo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain”.* [Book of Musnad-e-Ahmad: Hadees No. 17483] https://youtu.be/y8UL9xTWJfM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Mere baad Mujhe tum logon ke baare mein jis cheez ka sab se ziyaada dar hai, woh duniya ka banaao singaar hai, jo tum p

Daily Calendar Hadiths - 30 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki ka badla ehsaan wa ikraam ke siwa aur kya ho sakta hai?”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 60] https://youtu.be/oiQcgQhwu8s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Pahelwaan woh nahein hai, jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai, jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu rakhe”.* [Book of Bukhari, 6114] https://youtu.be/qYiWgH4NMps •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jo shakhs aisa raasta chale, jis ka maqsad ilm ki talaash ho, toh Allah Ta'ala us ke liye jannat ka raasta aasaan kar deinge”.* [Book of Muslim, 6853] https://youtu.be/A9yK-4N-5Pc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo shakhs zulm-o-ziyaadati ke taur par aisa (qatal wa khoon) karega toh hum us k

Daily Calendar Hadiths - 29 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dhole”.* [Book of Bukhari, 162] https://youtu.be/vuP6pNCzGVg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Allah se darte raho aur apne rishtedaaron ke saath mel jol rakho”.* [Book of Sho'bul Imaan, 7950] https://youtu.be/1zx20DgDvJ8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Rahman (Allah) ke bande woh hain jo zameen par aajizi se chalte hain”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Furqaan: Verse/Ayat no. 63] https://youtu.be/Rtk9nB-8gD0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jo shakhs chori ka maal khareede aur usse ma'aloom ho ke woh chori ka hai toh woh us ki buraayi aur gunaah mein shareek hai”.* [Book of Mustadrak, 2253] https://

Gair mehram Aurat jab samney aati hai to shaitan ki surat mein aati hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *“Gair mehram Aurat jab samney aati hai to shaitan ki surat mein aati hai…”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Jabir (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“(Gair mehram) Aurat jab samney aati hai to shaitan ki surat mein aati hai aur jab jaati hai to shaitan ki surat mein jaati hai, phir jab koi kisi aurat ko dekhey, to usko chahiye ki apni biwi ke pass aaye, is amal se uske dil ka khayal jaata rahega”.* [Sahih Muslim, Jild 4, 3407] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  हदीस (हिंदी): हज़रत जाबिर (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“(ग़ैर महरम) औरत जब सामने आती है तो शैतान की सूरत में आती है और जब जाती है तो शैतान की सूरत में जाती है, फिर जब कोई किसी औरत को देखे, तो उसको चाहिए की अपनी बीवी के पास आये, इस अमल से उसके दिल का खयाल जाता रहेगा।"* [सहीह मुस्लिम, जिल्द 4, 3407] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *

Daily Calendar Hadiths - 28 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Raaste se takleef dene waali cheez ko hata dena sadqa (sawaab ki cheez) hai”.* [Book of Bukhari, 2989] https://youtu.be/Vd-Age6n8Us •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  A llah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se achchha aadmi woh hai, jo achchhi baaton ka hukm dene waala aur buri baaton se rokne waala ho”.* [Book of Sho'bul Imaan, 7950] https://youtu.be/bu28p-ZNRNM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se”.* [Book of Sho'bul Imaan, 4993] https://youtu.be/zbD0eEblDf4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Agar tujh mein 4 cheezein ho toh duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hai : (1)Amaanat ki hifaazat (2)Baat

Jab kabhi thokar lage ya phisal jaao to ‘Bismillah’ (Allah ke naam se) kaho

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Jab kabhi thokar lage ya phisal jaao to ‘Bismillah’ (Allah ke naam se) kaho.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Al Malih ek shakhs se rivayat karte hain ki us ne kaha: Main Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke peeche sawar tha ke Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki sawari phisal gayi. Maine kaha: * "Shaitan marey". * To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Aise na kaho ke shaitaan marey, isliye ke jab tum aisa kahoge to woh phool kar ghar ke barabar ho jaayega aur kahega: ‘Mere zor aur quwwat ko iss ne qubul kar liya’, isliye (jab kabhi thokar lage ya phisal jaao to) yun kaho: ‘Bismillah’ (Allah ke naam se), isliye jab tum yeh kahoge to woh pichak kar itna chota ho jayega, jaise makhkhi”. * [Sunan Abu Dawood, Jild 3, 4982-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  हदीस (हिंदी): हज़रत अबू अल मलीह एक शख़्स से रिवायत करते है की उस ने कहा