Daily Calendar Hadiths - 29 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dhole”.* [Book of Bukhari, 162]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Allah se darte raho aur apne rishtedaaron ke saath mel jol rakho”.* [Book of Sho'bul Imaan, 7950]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Rahman (Allah) ke bande woh hain jo zameen par aajizi se chalte hain”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Furqaan: Verse/Ayat no. 63]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jo shakhs chori ka maal khareede aur usse ma'aloom ho ke woh chori ka hai toh woh us ki buraayi aur gunaah mein shareek hai”.* [Book of Mustadrak, 2253]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai”.* [Book of Sho'bul Imaan, 8786]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80